Posts

Showing posts from March, 2020

UnForgotten yaadein

Jab mai chala jayunga. Tum mujhe yaad karogi. Meri harkaton ko yaad kr. Tum apne chehre pr muskan bharogi. Tum mujhe yaad karogi.... Mai to tujhe yaad  karta hu.. teri pehle mulakaat se tere sath beti vo akhri  shaam bhi yaad karta hu..Us din ko fir se zeene ki aash rakhta hu.. mai tujhe yaad karta hu... Jese tu zed kar kar ke mujhe pareshan kr  apni baat banwati thi. Mai fir se  un dino ko zeene ki aash rakhta hu. Mai tujhe yaad karta hu... Jin baaton pr mai ghussa hojata tha. Un baaton par ab hasta hu. Fir se koi mujhe un baaton pr ghussa dilaye. Iski aash rakhta hu.. mai tujhe yaad karta hu.. Teri kaami mahsush karta hu. Jab akela hota hu. Bhul chuka hu tujhko iska jhuth khayal rakhta hu. Mai tujhe yaad karta hu... Din to sambhal jaata hai. Par raat ko tadapta hu. Tujhe paane k har pal khayal rakhta hu.. mai tujhe yaad karta hu..

Soch aj or kal ki

Aj post dali jayegi. Jinme baatein badi badi likhi jaayegi.. Naari tu balwan hai chilla chilla kr bola jaayega.. Naari hi shakti hai aj sab jage likha jayega.. Din badlega vichar badal jayenge. Jo naari kl shakti thi.. aj vo maal ban jayegi.. kl jin aankhon se unki khubsurti ki taareef hui thi..Aj unhi aankhon se uss khubsurti ko  tar tar kiya jayega. Aj usko ashlilata ki nazar se dekha jaayega.. Jo aj ladkiyon ki kamyabi ki kahaniyan sunayenge.. vo kl unki kaamyabi pe saval uthayenge.. Uski mehanat ko bhul. Vo ladhki hai isliye usko promotion mila hai. Fir ussi purani soch ko apni baaton mai dekhlayege.. Jinko aj unka late aana bhi sahi lagega, chhote kapde pahna bhi sahi lagega, char ladkon k sath khade ho baat karna bhi sahi lagega. Lekin jab kuch hojaye to ye vichar badal kyu jaatein. Fir kyu uske charitra pr saval khade kiye jaatein hai.. Agar naari ki taareef karni hai.. to uske liye ek din deena jaruri hai.. agar uski kaamyabi ki kahani sunani hai.. to uske liye ek ...