Rishta Gulab Sa
Jahan parchhai Saath chhod jati hai Wahan janmo ki baat karte ho... Ek pal sath baith Kar Dekho.. Ki jhuthe wade tum kitne hazar karte ho.. Kabhi hasne ki wajha na bane.. Lekin Rone ki wajha har bar bane ho.. Mere sajaye khwabo ke tutne ka kaal har bar bane ho.. Tasvir Kisi aur ki Dil me rakhte.. Pehra kisi aur ki yaadon ka hai Hisaab mangte ho wafai ka humse.. Karobar bewafai ka khud tumhara hai.. Nahi chahye rishta Chaand ki Chandni sa Jo Subha hote hi dhundla jae... Rishta ho to gulab sa.. Jo Tut jae dal se par khusboo sath laye..