Umeed
Kahani tumhe nayi sunata hun. Kissa tumhe aaj ka sunata hun... Vo ghar se nikal kar college jana, metro Ka dedh ghante Ka boriyat bhara saffar bitana, ye mere roz ka kaam hai. Pr aaj Ka din thoda alag tha. Kyuki, Kaano me lead ankho me chashma, haatho me book aur aankhein Jhukaye vo mera samna bethi thi. Duniya se bekhabar vo apne hi khwabon me khoi baithi thi. Usko to is baat ka bhi nahi hosh tha ki koi usse dekh rha hai. Mai samne baitha baitha use dekh rha tha. Usse kaise baat karun bas yahi soch rha tha. Usse baat krna Ke liye Maine dusiyo tarika bhi soch liya tha! Itne me uska station aagya. Usse baat krne ki meri khwahish ka ant aagya. Vo to uthkar Apne raste chal padi. Anjane me hi sahi ek kahani aadhuri chodh gayi. Aur kisi ko firse kabhi milne ki umeed de gayi...